Friday 16 March 2012

aadimi

Insaan - aadmi
Ajab Waiez ki deen-dari hai yaa-rab
adavat hai usy saary jahaan sy,

koi ab tak na samajha k insaan
kahan jata hai, ata hai kahan sy,

wahin sy raat ki zulmat mili hai
chamak taary ny paai hai jahan sy,

hum apni dard-mandi ka fasana
suna krty hain apny raaz-daan sy,

bari baareek hain waiez ki chalyn
larz jata hai aawaz-e-azaan sy

                          ( Hazrat Allama Iqbal)

Personified......

Link

No comments:

Post a Comment

Don't Be Sensitive To Prsonal Ego's -